Na Hone Diya Poem by M. Asim Nehal

Na Hone Diya

Rating: 5.0

Armaa machalte rahe
Hum bhi chalte rahe
Dil ki shammon ko na hamne bujne diya

Unki ankhon se jo
Roshni hai mili
Charaghon ko hamne na bujhne diya

Gardishon mein bhi
Hum sitaray gine
Housalon ko kabhi bhi na mitne diya

Chot lagti rahi
Zakhm khate rahe
Dil ke jazbaton ko kabhi na dikhne diya

Marz ko hume
Ayse dabate rakha
Mareez hoke bimari na dikhne diya

Is bagiche ko bhi
hamne seencha is tarah
Ki gulshan ko kabhi bhi na ujad ne diya

Thursday, April 21, 2016
Topic(s) of this poem: life
COMMENTS OF THE POEM
Sonali Ganguly 01 May 2016

kya khub asim sahab....

1 0 Reply
T Rajan Evol 28 April 2016

Wah kya baat hai Na hone diya ki.

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success