Naat-E Rasool Poem by Akhtar Jawad

Naat-E Rasool

Rating: 5.0

Bajuz Allah aalatar Muhammad mustafa wuh hayn,
Kisi ki bhi too midhat kar husool-e-kul sana wuh hayn.
Sadaf ek nadir-o-athar tahe bahre hira wuh hayn,
Ata aisay kiye gauhar ke tanveer-e-huda hayn.
Nahin kutch unse roshan tar zia-e-meherha wuh hayn,
Malaik keya khuda jinper padhe salle ala wuh hayn.
Chatai unka hay bistar magar lutf-o-ata wuh hayn,
Bandhe hayn pet per pathar shahe jood-o-sakha wuh hayn.
Nahin ab koi hay barhkar ke ab farmanrawa wuh hayn,
Medina sa nahin kishwar ke ab kishwar kusha wuh hayn.
Wuhi hayn saqi-e-kausar shafi-e-bariza wuh hayn,
Safi-e-dawar-e-mahshar imam-il-anbia wuh ahyn.
Khabar keya layega Akhtar muqam-e-larisa wuh hayn,
Bas ab khamosh ho kahkar habib-e-kibria wuh hayn.

Tuesday, December 23, 2014
Topic(s) of this poem: naat
COMMENTS OF THE POEM
Sarmad Mirza 24 December 2014

Beautiful poem very nice SubhanAllah

1 0 Reply
Khalida Bano Ali 24 December 2014

Ek achi nat pasand aayee..........10

1 1 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success