Phir Aankhon Se Pani Behne Lga Poem by Akhtar Jawad

Phir Aankhon Se Pani Behne Lga

Rating: 5.0


Phir tees si uththi seene mein phir aankhon se pani behne laga,
Dil tere liye rootha mujhse na jane keya kutch kehne laga.
Toone to kabka chora mujhe lo aaj se main bhi paraya hua,
Mana ke teri judai mein dil gumsum gumsum rehne laga.
To mome hay ya tu pathar hay Tu mujhse kitna ghafil hay,
Main tujhko kabhi pighla na saka khud aansoo ban kar behne laga.
Maine dhoondha tujhko parbat par maine dhoondha tujhko sagar mein,
Na jane chupa baitha hay kahan main pagal pagal rehne laga.
Tera milna aur na milna ab dono hi barabar dikhte hayn,
Ab koi shikayat na shikwah dil hans ke sitam ab sehne laga.
Insan hoon mere seene se jazbat ki aandhi uthti hay,
Jo sunna na tha woh sunne laga Jo kahna na tha woh kehne laga.
Jab tujhse miloon ga poochoon ga keya aise muhabbat karte hayn,
Tu mujhse khafa main tujhse khafa teri hi tarah main rehne laga.

Wednesday, October 29, 2014
Topic(s) of this poem: frustration
COMMENTS OF THE POEM
Geetha Jayakumar 31 October 2014

Beautiful poem with fantastic lines...... Insan hoon mere seene se jazbat ki aandhi uthti hay, Jo sunna na tha woh sunne laga Jo kahna na tha woh kehne laga. Loved reading each lines. Shukriya! ! ! Actually I read this poem yesterday and posted comment too but I dont know then I couldnt log in to PH site at all... There is something wrong in logging into ph site.

0 0 Reply
Aftab Alam Khursheed 29 October 2014

This is follow up the previous poem with sad background Achhi hai

0 0 Reply
Khalida Bano Ali 29 October 2014

Majaz aur haqueequat se pur khoobsoorat soofiana kalam.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success