Proposal, A Ekphrastic Poem In Hindi/Urdu Poem by Ravi Kopra

Proposal, A Ekphrastic Poem In Hindi/Urdu



main chaahti hoon tumain
aur chaati bhi nahin
kaisay kahoon tumain
tum mere sapnoN main aatay ho
aur fir hawaa ki tarah chalay jaato ho
fir aao gay k nahin
apna patta nahin batatay ho
kaisy kahoon main maaN ko
tum mera dil dharkaatay ho
khaao pehlay khuda ki kasm
muje choD k tum na jaao gay
uchay dil se pyaar kartay ho
mar jaaon gi min zehar khaa kar
agar dhokha bazzi main tum lagay ho.
dil chaahta hai main keh dooN haaN
aur fir kehta hai kar do naaN
kaisy kahhoN main tumain
pyaar main mari jaa rehi hoon
magar dar rehi hoon kehnay ko haaN
khush hoon aur khush bhi nahin hoon
kaisay hai ye mera jeena...

Proposal, A Ekphrastic Poem In Hindi/Urdu
Saturday, July 18, 2020
Topic(s) of this poem: love
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success