Pyar Ka Meetha Ehsaas... Poem by Varsha M

Pyar Ka Meetha Ehsaas...

Rating: 5.0

Wo mahakta Gulab
Ley aaya wapas wo khwab
Jo kabhi hum dekha karte the har Roz
Palke beechaye din aur Raat
Jab zindagi ne badli karwat
Aur hum reh gaye ekdum dang
Jaate deekh aapne khwab ko
Jisse dekhte thakti nahi thi aapne aakhe
Aaj khel rahe hai kisi aur ke baahoon me
Maand maand muskate hue.

Hum the he nahi unki panktiyon me kabhi
Yoonhi maan bhi kabhi
Jane aanjane thahar hi jata hai
Ye bhi nahi soochta ki
Pyar ek aaisa ehsaas hai
Jo chahe jo ho jaye
Kharida kabhi nahi ja sakta
Par pyar wo meetha gud hai
Jo meethas diye bina
Saath chodta nahi kabhi.

Pyar wakalat nahi karta
Chup chaap saah jata saab kuch
Ye sooch kar kahi mere karkash sabd
Tood na de unke komal dil ko
Khud he aapne asp ko kam kar deta
Ki aap jilo aapni zindagi ko khul kar.
Pyar karta nahi jabarjasti kabhi
Bas ek budbudda ehsaas de jata
Jise bhulaye bhula na jata
Aur maange milta nahi

Pyar wo marz hai jiski dawa nahi
Aur wo ilaaj jisme marz hai he nahi.

Pyar Ka Meetha Ehsaas...
Sunday, October 4, 2020
Topic(s) of this poem: feelings,life
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
Inspired by Akhtar Jawad poem kon janta hai..and me poet yeps poet poem ja janab the best pak poet. Love needs no definition
Photo courtesy Patricia Alexandre
COMMENTS OF THE POEM
Sharad Bhatia 05 October 2020

एक बेहतरीन अभिव्यक्ति बस एक ख्वाब, एक अधूरा ख्वाब जो तेरे मेरे दरम्यान आभार आपका जो आपने इतनी प्यारी रचना से हम सबको मंत्र मुग्ध किया 100+

0 0 Reply
Me Poet Yeps Poet 04 October 2020

''Inspired by Akhtar Jawad poem kon janta hai.. and me poet yeps poet poem ja janab the best pak poet. Love needs no definition'' Mohtarma Shukriya Jubh sey JA JANAB and aour PPME hain yahan iss jahan more on my page says PH///

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success