Rudaali.. Poem by abhilasha bhatt

Rudaali..

Rating: 5.0

Rona bhi kaisi rawaayat hai
Kbhi khushi se
Kbhi gham se
Kisi k ane se
Kisi k jaane se
Kisi ko paane par
Kisi ko khone par
Magar ab suna hai
Rona bhi ek pesha hai
Mazaak laga tha mujhko jo wo haqeekat hai
Koi rota hai apne lie
Koi rota hai apnon k lie
Ye rote hai do waqt ki roti ghar k lie
Banye gye hain ye reet riwaaz sadiyon pehle
Mila hisse main bhi ye pesha auraaton ko
Jaane kya soch k rone ka kisi k lie
Khona dena sajaana sanjona
Bandhanon main jeena
Bandhanon main marna
Kuch na kehna
Sare zulm sehna
Chup rehna
Parda karna
Ye to hisse main die they auraaton k hona
Ek aur chiz daaman main ai Rudaali hona
Kisi bhi unche gharane se bulaawa aata hai
Jahan koi nhi rota Rudaali ko rona hota hai
Baal khol kar seena peetkar maatam manana hota hai
Jahan marte ko paani nhi milta ki choti jaati ka hai
Dharm ka apmaan hoga
Jo hath lag jaye unka badi jaati waalon ko achoot hoga
Phir in neechi jaat waali auraton ko ghar main bulaate hain
Apne kisi k jaane par rone ko Rudaali ko bulaate hai
Kaisi rasme hai ye kaisa pesha hai
Jinka apna gya rote nhi samaj main apne rutbe k lie
Rudaali roti hai un anjaanon k lie rote nhi jinke apne unke lie
Rudaali ek pehlu hai jeevan k aurat ka
Rudaali ek sach hai abhi bhi basi reet main bandhi rone k ek aurat ka
Rudaali hamare hi samaaj ki banai peshe se rone wali auraton ka..

Rudaali..
Wednesday, January 13, 2016
Topic(s) of this poem: life,weeping,woman
COMMENTS OF THE POEM
Souren Mondal 02 March 2016

I have to admit once again that it is a shame that I missed out on this one by you Abhilasha.. This one is one of the most poignant, socially observant poem that you have penned.. A wonderful, vivid description of the emotions of women who have to cry for others, but none do cry for them.. You have crafted it to perfection.. And I usually rate a lot of poems but barely mention it, so here is 10 from me.. This poem deserves high praise.. Wonderful stuff..

0 0 Reply
Rishi Thakkar 13 January 2016

It's one of a kind narration..very unique Heart warming... Very nice effort

0 0 Reply
Gajanan Mishra 13 January 2016

rona bhi ek pesa hai.. nothing to cry, nothing to smile.. life is going on its own way..

0 0 Reply
Akham Nilabirdhwaja Singh 13 January 2016

Brilliant, really an enchanting poem.

0 0 Reply
Muhammad Imtiyaz 13 January 2016

Jahan marte ko paani nhi milta ki choti jaati ka hai Dharm ka apmaan hogaJo hath lag jaye unka badi jaati waalon ko achoot hoga Phir in neechi jaat waali auraton ko ghar main bulaate hain Apne kisi k jaane par rone ko Rudaali ko bulaate hai...... bohat sahi kaha ap ne mam...nice one

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success