Sadak K Kinaare.. Poem by abhilasha bhatt

Sadak K Kinaare..

Rating: 4.8

Sheher main ek sheher rehta hai
Sadak k kinaare
Ek jahaan ujda udhda sila sa
Ghareebon ka bastaa hai
Bade ameer logon ki
Duniya se alag bahut lagta hai
Shor hota hai baazaaron ka
Hawaain hoti hain angaaron si
Koi kagaz ki phirkiyan bechta hai
Koi kagaz k phool bechta hai
Kahin koi mitti k khilone bechta hai
Koi bheekh mangte dikhta hai
Koi mehnat krke kamate milta hai
Subha sadak sajaane main nikalta hai
Apni apni jagah apni dukane basane main niklta hai
Dhoop ho kadi chahe thand kadake ki padti ho
Har shakhs yahan hardmans ka bana lagta hai
Mehnat ka ek jeeta jaagta udaharan lagta hai
Kuch pal aaram hota hai
Sadak kinaare bane apne ghar ki rasoi ka khana hota hai
Kitne pyar se hathon main roti ka niwaala hota hai
Jo mehenge vyanjanon se bhi zyada zaayekedaar lagta hai
Phir apna apna kam phirse shuru hota hai
Subha se shaam ka safar
Kain logon k aane jaane ka safar
Kuch iskadar basar aur tey hota hai
Raat ko sab wahi dukaan samete jaate hain
Dukaan ko phir aashiyaana apna banate hain
Raat ka khana bhi wahin banaye chulhe par pakta hai
Wahin par raat k khane k baad bistar sone k lie lagta hai
Sadak k kitne rang ek din main dikhtey hain
In kalakaron se rangeen ye berang veeran sadak lagte hain
Sadak k kinaare ek jahan aur rehta hai
Sadak k kinaare sheher k ek sheher gareebon ka bastaa hai..

Saturday, March 12, 2016
Topic(s) of this poem: life,road
COMMENTS OF THE POEM
Souren Mondal 12 March 2016

I will comment on this on English since my Hindi is not as good as the skills required to praise this poem.. To begin with one of the most essential aspect of GOOD literature is that it always serves as a mirror to life/society.. Your poem takes minute observations into the life of those who live on the roads and represents them in a very poetic and wonderful manner.. You have a natural talent of language and that is absolutely evident here as we read the poem out loud.. All and all, this is one of the best poems of yours that I have read.. Wonderful Abhilasha.. A beautiful poem..

0 0 Reply
Abduhoo Salamath 29 August 2016

wha waaah kia kahney hain kia bahtareen aur khoobsoorati se izhar e bayan kia hai. aur kia hi khoobsoorati se manzar kasha..lajawab..

0 0 Reply
Nasarudheen Parameswaran 13 April 2016

The image: Kagaz ke phool gives the essence of the thought.

0 0 Reply
Akhtar Jawad 15 March 2016

A nice description of a big city where poor persons love in polluted air and unending noise.

0 0 Reply
M Asim Nehal 12 March 2016

Wah wah kya baat hai, Aapne jo sheher ka naksha khicha hai woh kabile-daad hai, laga yun ke jaise wo manzar nazron ke saamne se guzar gaya Ek sheher yun bhi dekha hai humne unki nazm mein.....Awesome, Beyond ratings yet maximum 10/10

2 0 Reply
Mithilesh Yadav 12 March 2016

Assam key jungle ek deewal mera........ duja deewal ranthambor mera ....... himalaya ki chat aur hind maha sagar darwazey pe beh raha........ gareeb......? Mehanti hun, imandar hun, desh bhaqat hun, kuddar hun....... jawab bhaut hai sunney aur sunnaney ko...... mein to aapni bharat maa ka ek sawaal hun...... grrrtt penned mam ji........ emotional.... emotion p'ssss

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success