Some Poets, A Poem In Hindustani Poem by Ravi Kopra

Some Poets, A Poem In Hindustani

kuch kavi aisay hain
jo subah subha uthtay hain
aur poem of the day lekhak ko
mumbarkain denay lag jaatay hain -

kya khoob hai tumari kavita
kya khyaal hain is kavita main
kya ehsaas hain is k
kitni acHi tarah se likhi gayi hai
kitni akalmandi main bhari hue hai
mubarak ho mubarak ho
main dooNga is ko pooray k pooray dus plus

aur main lag jaata hun
videshi kavita ko hindustani
main badalnay k liyae
ta k jin bharti bhai-behno ko
angrezi kuch kam aati hai
samajh sakaiN k saray jahaan k kavi
nahin paida hotay hain bharat main
jo kavita ki har doori line main
le aatay hain bhagwaan ka naam
apna chamatkaar dikhanay main

Thursday, November 16, 2017
Topic(s) of this poem: poets
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success