Stree Poem by ramesh rai

Stree

Rating: 4.5

Stree!
tum stree kyuoon bani
tum janani ho
janan karati ho manav yantra ko
atah tum mahan ho
tum de do mujhe apna strain gun
le lo is purushtwa ko
tumhe is purushtwa se kya lagao hai
tumhara aur purush ka rishta
kya aag aur paani ka hai
aaag phir kin tatwon se nirmit hota hai
ya tum swyam dhadhakti aag ki jwala ho
batlao mujhe
dharti par bana yeh aavaran kaisa
kya yehi wah amber hai
jisse dhakti ho tum apni lajja ko
kya yehi lajja
stree aur purush ki lakshman rekha hai
is paar tum ho
aur us paar main
tum satya ho
aur mai astya
satya ki paribhasha
astya ka vilom hai

satya saakar hai
asatya niraakar
phir yeh sabdjaal kaisa
kaise hoga iska nivaran

maana kuchh bhi nahi tha
phir tha kya aur hai kya

yeh surya, chandrama, asankhya taaren, grah-upgrah
kaash ek baar jaan paata
shrishti ki aadi ko
computer mein sanjota
tumhare har kan ko
tumhare ek ek kan mein chhipa hai
vartmaan ka jeeta jaagata taswir
phir ghanton niharata
kaise hua ye vikash
aatma ke itihaas ko jaan paata
jiski janani bas tum ho

COMMENTS OF THE POEM
Abduhoo Salamath 21 August 2016

wah waah kia khoob kaha aap ney....

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success