Tajdeed-E-Wafa Taza Kar Lein Poem by M. Asim Nehal

Tajdeed-E-Wafa Taza Kar Lein

Rating: 5.0

Aao Aaj Mil K Phir Tajdeed-E-Wafa taza kar lein
Ye kahin murjha na jaye sukhe gulabon ki tarah

Tu mera tha na raha hai na hoga bhi kabhi
Tu to rehta hai mere jism mein rooh ki tarah

Mere jazbaat se wo is tarah khela hai kiya
Jaise haathon se kabootar ko udane ki tarah.

Rasmo ko bhi usne is tarah se nibhaya hai kabhi
Jalte hue charagon ko bujhane ki tarah.

Qurbaton mein bhi mere sath wo aise hi raha
Mausam ke jaise aane aur jaane ki tarah

Ab to ye soch ke bhi darr lagta hai mujh ko 'Aashi'
Jaise mai kyun tula hoon khud hi ko khud se aazmane ki tarah.

Saturday, June 18, 2016
Topic(s) of this poem: love
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
आओ आज मिल के फिर तजदीद -ए -वफ़ा ताज़ा कर लें
ये कहीं मुरझा न जाये सूखे गुलाबों की तरह

तू मेरा था, न रहा है, न होगा भी कभी
तू तो रहता है मेरे जिस्म में रूह की तरह

मेरे जज़्बात से वो इस तरह खेला है किया
जैसे हाथों से कबूतर को उड़ाने की तरह.

रस्मो को भी उसने इस तरह से निभाया है कभी
जलते हुए चरागों को बुझाने की तरह.

कुरबतों में भी मेरे साथ वो एसे ही रहा
मौसम के जैसे आने और जाने की तरह

अब तो ये सोच के भी डर लगता है मुझ को 'आशी '
जैसे मैं क्यों तुला हूँ खुद ही को खुद से आज़माने की तरह.


tajdeed-e-wafa: renewal of faith
Qurbaton: Nearness, advancing or being near
COMMENTS OF THE POEM
T Rajan Evol 22 June 2016

Wah wah Asimji मेरे जज़्बात से वो इस तरह खेला है किया जैसे हाथों से कबूतर को उड़ाने की तरह.

1 0 Reply
Aarzoo Mehek 18 June 2016

Rasmo ko bhi usne is tarah se nibhaya hai kabhi Jalte hue charagon ko bujhane ki tarah. Qurbaton mein bhi mere sath wo aise hi raha Mausam ke jaise aane aur jaane ki tarah Na kehte hue sab kuch bayaan kar diya hai in do sheron ne. Ye hone aur na hone ke beech ka safar bada aziyatnaak hota hai. Badi khoobsurati se kalamband kiya hai in ehsaason ka.100

3 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success