The End (Aakhri Waqt) , A Poem By Marrk Strand In Hindi/Urdu Translation Poem by Ravi Kopra

The End (Aakhri Waqt) , A Poem By Marrk Strand In Hindi/Urdu Translation

har kisi ko nahin patta vo akhari waqt kya gaaey ga
kishti jab uski ghaat se door chalnay lagay gi
aur kaisa us k lagay ga jab saagar ki garjan us ko pakDay gi
kya umeed ho gi uski jaantay huay vo vapis kabhi na aayay ga

jab gulab k pholon ko kaatnay ya billy ko pyaar karnay ka waqt khatm ho chuka hai
jab suraj ka aangan ko jalaanay ka ya chaand ko thand paanay ka
waqt khatam ho chuka hai
har kisi ko nahin patta kis khoj main vo lagaa ho ga
jab duniya bhar k us k silsilon ka waqt khatm ho chuka hai

jab aasmaan ki ye yaad rahegi k is main roshni hamesha hua karti thee
jab cirrus aur cumulus baadloN ki kahaniaN sub khtam ho chuki hon gi
aur sub pakshi hawaa main rukay hue se aankahin dekhnay lagaiN gi
har kisi ko nahin patta kya ho ga us ko us waqt ya kya vo gaaey ga
jab aakhar k waqt us ki kishti andhere main baehti chali jaaey gi

***

The End
BY MARK STRAND

Not every man knows what he shall sing at the end,
Watching the pier as the ship sails away, or what it will seem like
When he's held by the sea's roar, motionless, there at the end,
Or what he shall hope for once it is clear that he'll never go back.

When the time has passed to prune the rose or caress the cat,
When the sunset torching the lawn and the full moon icing it down
No longer appear, not every man knows what he'll discover instead.
When the weight of the past leans against nothing, and the sky

Is no more than remembered light, and the stories of cirrus
And cumulus come to a close, and all the birds are suspended in flight,
Not every man knows what is waiting for him, or what he shall sing
When the ship he is on slips into darkness, there at the end.

Tuesday, May 21, 2019
Topic(s) of this poem: death
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success