GhoDay
ghoDon k saath ek raat guzaarne k baad
main taza taza ammonia ki sugand kabhi na bhool paoNgi
na hi bhooloNgi pighalti baraf
aur na hi unki chaand jaisi hari laad baraf par
aur wo chuua jo sardi main sookhay ghaas main cHupe hue
saari ki saari raat chiN-chiN chuN-chuN karta raha
main bhi kaampti rahi lamba coat aur oon ki topi pehne
lakin sub ghoDay raat bhar araam k saath sotay rehe
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem