Tooti-Footi Angrezi Main Poetry Poem by Ravi Kopra

Tooti-Footi Angrezi Main Poetry



ey mere kuch bharti bhaeeo (some not all)

agar angrezi tumari tooti-footi hai
to kyon likhtay ho poetry angrezi main
kyon nahin likhtay hindi main, punjabi main
gujrati main, bangla main, marathi main
tamil main, telgu main, urdu main, malyalam main

kya bharat main bhashon ki koee kami hai?
kyon be-izzati karaato ho apni aur bharat ki?
kyon batatay ho angrayzon ko tum kitnay anpad ho?
likho poetry apni bhasha main jisay tum samajhtay ho.

achi achi poetry likh kar, bharat ka naam acha karo
tooti-footi angrezi main likh kar bharat ko badnaam kartay ho
angrazi main hi likhna hai to pehlay isay kuch seekh lo
angrezi ki laatain na toDo, is ka katal na karo

ye baDa ek paap hai

bahut bahut danyawaad
khuda tumain angrezi sikhlaey
sirif yehi hai ek meri dua
khuda hafiz, namaste, ram ram

Tuesday, November 14, 2017
Topic(s) of this poem: poetry
COMMENTS OF THE POEM
Upendra Upm 14 November 2017

poetry is not about correct English.If a poem can deliver a single simple finer sensibility that supports love, peace, aesthetics, poetry would deem tohave served its purpose.but your poem is good and will guide many poets.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success