Wo aankhen jhuki
Palkon se dhaki
Lagti sharmati
Par hai bahut shararati.
Meeloon ke doori
Pal bhar me naap jati
Aaise hai ye aankhe meri
Jo sabko tar tar kar deti.
Mushkil lagta aakhoon se aankhe melana
Par jaise unke palkon ka jharokha khula
Doob gaye hum to unki gahraiyon me
Aur alag he duniya saja baithe unnse.
Aaitbar-e-ilm jabtak huwa mujhe
Khayalon ke parindoon ne bhar le udan
Na jante hai hum aur na jante hai wo
Kaha le jayege ye raftar-e-ishq.
Khabhi soocha nahi tha
Ke aankho he aankho me
Isshar bhi ho jayega
Aur aajnabi bhi kabhi khas hojayega.
Oo aankhe shararti
Jo hum na kar sake kabhi
Jadu ki jhappi ke jaise
Keh gaye sab aap, pal bhar me.
Bus wo shararati aankhe
De gaye Jahan sunhari
Mujh naacheez ko
Jo aab bhi hai bhaibheet.
सुप्रभात जी, सुबह - सुबह इतनी प्यारी रचना दिल खुश हो गया शायद उसका मुझ से बेवजह टकराना, शरमा के उसकी आँखों का झुकना आहे, बस ये शरारती आँखे, आग लगा दी दिल, मेरे पूरे जहन वो शरारती आँखे आभार आपका बहुत - बहुत Rated 1000++
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem
Bahut khoob. Ati uttam fasana Ankhon ka bayan kiya aapne.10+