Absence (Behazargi) : A Love Poem By Amy Lowell In Hindi/Urdu Translation Poem by Ravi Kopra

Absence (Behazargi) : A Love Poem By Amy Lowell In Hindi/Urdu Translation

Behazargi

meray pyaar ka pyaala aaj raat khali hai
kuli kiDki se aati thandi hawaa main
har taraf se sookha hua thanda paDa hai.
khaali aur be-asar chaaand ki roshni main
safed sa hua chamak raha hai.
Wistaria phooloN ki ajeeb khusboo se
kamra bhara hua hai
chaand ki chamak main phool idhar-udhar lehra rahey hain
aur deewar pe thap-thpaat lagaa rahey hain
lakin meray pyaar ka pyaala chup-chaap hai
thanda hai, khaali hai.

jab tum aatay ho, ye bhar jaata hai
laal khoon se aur kaanpnay lagta hai,
meray dil ka khoon teri pyaas bhujaanay k liyay;
tera moonh mohabbat se bharnay k liyay
aur meri rooh ka meetha-kaDwaa swaad tumain dainay k liyay.

***

Absence

My cup is empty to-night,
Cold and dry are its sides,
Chilled by the wind from the open window.
Empty and void, it sparkles white in the moonlight.
The room is filled with the strange scent
Of wistaria blossoms.
They sway in the moon's radiance
And tap against the wall.
But the cup of my heart is still,
And cold, and empty.

When you come, it brims
Red and trembling with blood,
Heart's blood for your drinking;
To fill your mouth with love
And the bitter-sweet taste of a soul.

-Amy Lowell

Wednesday, June 5, 2019
Topic(s) of this poem: love
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success