Bhookh Hartal Poem by ramesh rai

Bhookh Hartal



Shriman bhookh hartal par hai
24 ghanta beet gaya, bhookh hartal jari hai
Shriman ka bhookh hartal khatma hogi
Jab ganmanya vyakti aayenge
Nimbu, santara ya angoor ka juice
Apne kar kamalon se pilayenge
Log jindabaad jindabaad k nare laganyenge
Phir wey netaji kahalaenge

Netajee k bhookh hartal se
Anta tak ka karyakrama
Doordarshan k sabhi channel par dikhlaye jayenge

Waise netajee ab baat baat par
Bhookh hartal ki dhamaki dete hain
Waise unhe apne jaan ki parwah kuchh jyada hi hai
Usse bhi jyada sattadhariyon ko hai
Lekin afshosh samasya aaj bhi wahin hai
Jahan kal thhee, phir kaisa yeh bhookh hartal
Waise bhookh hartal se do baton ka fayeda raha
Ek to jabardast prashidhhi mili
Dusra sehat bhi kuchh bhala changa ho gaya
Waise inki bhookh hartal unke jaise nahi rahi
Jo jail mein bhookh hartal kiyen
Koda bhi khayen, pranon ki aahuti de dee

Kahin to bhookh hartal roj manaya jata hai
Lekin doordarshan ko kya padi hai
Unke bhookh hartal ko samane laye
Janata ko awagat karaye
Sarkar ko bhi kya padi hai
Kam se kam ek glass thanda pani se hi sahi
Unka bhookh hartal to tudawaye
Aisa hi raha to bhookh hartal
Ek din tamasha banker rah jayega.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success