Chhod Kar (Urdu) Poem by Jazib Kamalvi

Chhod Kar (Urdu)

Rating: 5.0


Senche jo apna gulshan e atfal chhod kar.
Khush khush wo chal diey hamen har sal chhod kar.

Phoolon ki pattiyon ko sanwara he umr bhar.
Aandhi men ham ne apne par o bal chhod kar.

Bulbul ka hal dekhiey karta he tarbiyat.
Bijli ki zad pe apne wo amwal chhod kar.

Apna lahoo diya he to puhnche hen kuch darakht.
Owj e falak pe pasti e patal chhod kar.

Kitne hi imtehan hon kitni hi zimniyan.
Jana he har school ko har hal chhod kar.

Jazib ko bux dejiey ya rab bila hisab.
Is be nawa ka nama e aamal chhod kar.

Chhod Kar (Urdu)
Sunday, May 12, 2019
Topic(s) of this poem: education,farewell
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
A farewell poem recited at farewell party of intermediate class 2019.
COMMENTS OF THE POEM
Aarzoo Mehek 21 September 2020

Phoolon ki pattiyon ko sanwara he umr bhar. Aandhi men ham ne apne par o bal chhod kar. Bulbul ka hal dekhiey karta he tarbiyat. Bijli ki zad pe apne wo amwal chhod kar. Lajawab ghazal. Ye do sher bohot umda hai. Dheron daad..

2 0 Reply
Jazib Kamalvi 23 September 2020

Dear Arzoo Mehek! Apke alfaaz ka shukria.

0 0
Jagdish Singh Ramána 13 August 2019

I always love to read Urdu Ghazal. Melodious! Soothing to heart. Please read poem Badder ala Shayar(ਬਾੱਡਰ ਆਲ਼ਾ ਸ਼ਾਯਰ)

1 0 Reply
Jazib Kamalvi 13 August 2019

Surely. Thanks for the comment.

0 0
S.zaynab Kamoonpuri 05 August 2019

Last lines made me smile and I said to myself arey way mujhe bhi ya Rab beghair sawaal jawab Ke kaash. Zabardast shairi wah, I liked ESP bulbul line as well. Pls pleez do comment/ review my newest poem too titled, " The Hajj pilgrimage "

1 0 Reply
Jazib Kamalvi 05 August 2019

Dear poetess! I am astonished to see Urdu words in your lovely comments. Thanks for it and your invitation as well.

0 0
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success