Clenched Soul (Meri Dukhi Aatman)by Pablo Neruda In Hindi/Urdu Translation Poem by Ravi Kopra

Clenched Soul (Meri Dukhi Aatman)by Pablo Neruda In Hindi/Urdu Translation

Aaj sham ka waqat bhi guzar gaya hai
ham hathon main haath liye hotay thay
kisi ne na hum ko aaj aisay dekha hai
aisay hi aaj neela aasman raat se kaala ho gaya hai

Main ne apni khiDki se door pahaDoN ki chotiaoN pe
suraj k dubnay ka mela bahut baar dekha hai

Kabhi kabhi suraj k ek tukDay ne
meri hatheli ko aag se jalaya hai

Meri udasi main phansi rooh ne
tum ko badi baar muje yaad dilaya hai

Tum kahan the tab?
Kaun aur tere saath tha?
Kya tum ko keh raha tha?
Ek dum kyon main teri mohabbat main mar raha hoon ab
Tu mere paas nahin hai sab jaantay hue?

DaastaN toot gayi sandya k aanay pe
aur mera neela sweater ek dukhi kuttay ki tarah
mere pairoN pe aa gira hai.

This is a translation of the poem Clenched Soul by Pablo Neruda
Wednesday, October 31, 2018
Topic(s) of this poem: missing you
COMMENTS OF THE POEM
Close
Error Success