Do Tarah Ke Log Poem by Akhtar Jawad

Do Tarah Ke Log

Rating: 5.0

Is duniya mein keyun do tarah ke log,
Rahte hayn chalte phirte hayn,
Kisi ko itna milta hay,
Kutch khata hay kutch phenkta hay,
Koi bhooka hi so jata hay!

Is duniya mein keyun do tarah ke log,
Rahte hayn chalte phirte hayn,
Kisi ke bache padhte hayn,
Likh padh kar aage badhte hayn,
Kisi ke Oye Chote! Kahlate Hayn!

Is duniya mein keyun do tarah ke log,
Rahte hayn chalte phirte hayn,
Koi udta hay badalon ke ooper,
Thandi botalein peeta hay,
Koi peysa paidal chalta hay!

Is duniya mein keyun do tarah ke log,
Rahte hayn chalte phirte hayn,
Koi hukm chalane aata hay,
Koi jabr dikhane aata hay,
Mahkoom hayn keyun baqia sare!
Is duniya mein keyun do tarah ke log,
Rahte hayn chalte phirte hayn,
Koi sone chandi mein khelta hay,
Jo chahe use mil jata hay,
Aur kutch khairat pe palte hay!

Koi zulm ko karne aata hay,
Koi aakar khoon bahata hay,
Koi itna hay kamzor ke wuh,
Har zulm ko sahta rahta hay,
Zeyadah tar mazloom hayn keyun!

Keya koi iska dega jawab,
Hashr mein hoorein milein gi use,
Lekin keya is dunya mein,
Aansoo kke siwa kutch uska hay,
Nahin, to keyun wuh paida hua?

Saturday, August 22, 2015
Topic(s) of this poem: questions
COMMENTS OF THE POEM
Rajnish Manga 22 August 2015

The world has experimented with all kinds of governments and the governments have experimented with all kinds of schemes and projects but the difference between Havss and Have Nots could not be removed till date. No plausible explanation acceptable to all is available. Hence, Do Tarah Ke Log are going to remain around us. However, the poem has treated the situation in the right perspective. Thanks.

0 0 Reply
Bisma Mirza 22 August 2015

Very true! Once again an amazing one... 10 on 10..

2 0 Reply
Khalida Bano Ali 22 August 2015

A touching poem........................................10

2 0 Reply
T Rajan Evol 22 August 2015

Duniya mein maqsad se aaten hain aur jeete hain, Kuch khus nasseb hain aur kuch nasseb ko raten hain...Duniya mein yehi hota hai sadiyon se, hum sab jeete hain aur marte hain....

2 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success