Gard se bani is jism me itna dard kyon hai?
Ujale me andhera, garmi me sard kyon hai?
Aye mere hamdard! tu itna hamdard kyon hai?
liya tha phool hathon me, ab khanjar kyon hai?
Janaja insaniyat ka uth raha, bekafan, kyon hai?
Alfajon ke teer, dilon ke tarkash me kyon hai?
Har taraf ghup andhera, ham khauf jada kyon hai?
Bikhra pada hai inqalabe haq, juban band kyon hai?
Jawab malum hai sabhon ko, phir ye sawal kyon hai?
Sabr ke chhodne ka malal, dilon me bhala ab kyon hai?
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem