Ghazal-Ajnabi Se They Poem by Akhtar Jawad

Ghazal-Ajnabi Se They

Rating: 4.5


Woyese to hum mile na kahin, ajnabi se they,
Rishte na jane kaise kahan ke kabhi ke they.
Dekha jo unko aankhon ne chupke se keya kaha,
Alam ajeeb dil pe mere bebasi ke they.
Majboor kar ke jane kahan ja ke chup gaye,
Andaz badalon se dhanki roshni se they.
Who din bhi kaise din they ke unke liye mere,
Asar thore thore se deewangi ke they.
Mujhko pata chala hi nahin le gaye woh dil,
Dil ke irade unse zara dillagi ke they.
Thori si cher char per roothe they kistarah,
Andaz thore thore zara berukhi se they.
Ghusse ki chadar orhkar kab tak chupao ge,
Honton ke zaviey to tumhare hansi ke they.

Thursday, August 28, 2014
Topic(s) of this poem: romance
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
A romance prior to love.
COMMENTS OF THE POEM
Savita Tyagi 29 August 2014

Lovely romantic Gazal. Andaj badlon se chalki roshni se they! So beautiful.

2 0 Reply
Khalida Bano Ali 28 August 2014

A sweet lovely Ghazal.

0 0 Reply
Khalida Bano Ali 13 October 2017

Bahut hi peyari aor khoobsoorat ghazal........................................

0 0 Reply
Abduhoo Salamath 25 August 2016

bahuth khoob, ...kia kahney hain...

0 0 Reply
Ajay Kumar Adarsh 22 August 2016

bahut sunadar gajal............................

1 0 Reply
Khalid Saifullah 02 February 2015

Ek bahut hi peyari ghazal....................10

0 0 Reply
Amitava Sur 30 August 2014

A lovely romantic poem with the then Ajnabi. Asar thore thore se deewangi ke they. Mujhko pata chala hi nahin le gaye woh dil ............ very nice

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success