Gold Mouths Cry (Sunheray Cheray Rotay Hain)sylvia Plath In Hindi/Urdu Poem by Ravi Kopra

Gold Mouths Cry (Sunheray Cheray Rotay Hain)sylvia Plath In Hindi/Urdu

kaansi k laDke ki
hamesha ki hari jawani ko dekh kar
sunheray cheray chillatay hain
hazaaron pat-jhad main croroN pattoN
ko us k khandoN se fisil kar neechay girtay dekhtain hain
pattay jo uski bahadhuri k karan
us pe kheenchay hur aa paDtay hain.
Godenrod k phoolon k dekh kay
maray hue log bhi hanstay hain.

Kansi ka laDka shabtadioN tak
ghutnoN tak pukka-jhuDa khaDa rehta hai
aur hazaroN pat-jhaD ki yaadoN main
kabhi bhi gham nahin khata hai,
hazaroN saaloN ki suraj ki roshni
us k laboN ko chamkati hai
aur uski aankhon pe girtay pattay
us ko andha bana dete hain.

This is a translation of the poem Gold Mouths Cry by Sylvia Plath
Monday, December 24, 2018
Topic(s) of this poem: cheating,disappointment,grief
COMMENTS OF THE POEM
Close
Error Success