Guzarish Poem by Asavri Dhillon

Guzarish

Rating: 5.0

Kaash ye waqat idhar he tham jaaye
Ye raat, raat he reh jaaye.
Aaj itne dinno baad khud se mulaqat hui hai
Is lamhe ko khonne ka darr
Darr ye sacch na ho jaaye
Vo toh sheeshe ko is qadar torh gye
Ke jodhna mushkil ho gya.
Lekin, kamzor nahi hu mein.
Ye vo shayad na jaan paaye.
Aaj khud se fir mulaqat ho gyi.
Is qadar hui, ke abb hum sheeshon mein nahi,
Khud ko khud mein dekhte hai.
Ab kaise torho ge?

Saturday, May 18, 2019
Topic(s) of this poem: hindi,love
COMMENTS OF THE POEM
Jazib Kamalvi 18 May 2019

Bahut khoobsoorat khayal he, Asavri. You may like to read my poem, Love And Iust. Thank you.

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Asavri Dhillon

Asavri Dhillon

Chandigarh, India
Close
Error Success