Hai Kaun Si Wo Raah Poem by Aftab Alam

Hai Kaun Si Wo Raah

Rating: 5.0


Hai kaun si wo raah, jisme kaante nahi boye gaye,
Hai kaun saw o insaan, jiske daman nahi dhoye gaye,

Mai andhere me bepnaah ujaala dekh sonchta hun,
Hawas ki aankhon se kai baar ghar jalaaye gaye,

Ek piyakkad ne mujh se kahaa, 'sambhal kar chalna,
Babu- Ye sadak nahi ab azaad parindo ke liye, '

Khamosh drawni chikho se preshaan hun mai,
Ye samay nahi hai ab. Gharo me baithne ke liye

Mera khud ka kutta, mujhe hi dekh bhaunkta hai,
Main preshaan hun, bechaare is bezubaan ke liye

Kuredaan me zindagi dhundte Insaano se ab mai jaana,
Garibo ke khakar, na jaane kitne, haiwaan ho gaye

Sunday, August 31, 2014
Topic(s) of this poem: awakening
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success