Hum Tum Poem by Akhtar Jawad

Hum Tum

Rating: 5.0


Tum mazi bhee ho hal bhi ho museaqbil per bhi chaye ho,
Mujhe iski koi fikr nahin tum apne ho ya paraye ho,
Tum dost bhi ho tum dushman bhi nazdeek magar tum aate nahin,
Main chahoon to tumko choo loon magar tum mujhse aankh milate nahin,
Main tumko bulata rahta hoon tum pas mere keyun aate nahin,
Dharti bhi wuhi akash wuhi keyun badal ban kar chate nahin,
Mana ke kabhi mil sakte nahin lekin yeh safar to sanjha hay,
Na tummein ab woh Heer bachi na mujhmein ab woh Ranjha hay,
Wuh Heer jo Waris Shah ki hay keyun door se mujhko sunate ho,
Tum ab bhi ache lagte ho tum ab bhi acha gate ho,
Kisi chandni rat mein chup chup ker tum mujhse milne aa jao,
Jab peyar se dekhoon main tumko ek bar to phir sharma jao,
Hay rah mein koi Chenab agar tum Sohni se jurat le aana,
Is bar na doobne doonga main is bar nahin tum ghabrana,
Bas bheegi bheegi rat mein tum pas aa ke Heer suna do mujhe,
Mujhe tum bin neend nahin aati ek bar to aa ke sula do mujhe.

Sunday, November 2, 2014
Topic(s) of this poem: dream
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
Dreams of a lost beloved.
COMMENTS OF THE POEM
Salini Nair 04 November 2014

Main chahoon to tumko choo loon magar tum mujhse aankh milate nahin, Main tumko bulata rahta hoon tum pas mere keyun aate nahin.......................beautiful.... enjoyed

0 0 Reply
Khalida Bano Ali 03 November 2014

I liked it more than th English version.

1 0 Reply
Geetha Jayakumar 03 November 2014

Beautiful poem. I liked both the versions. Both are equally good. I loved reading it.

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success