Karachi Roshnion Ka Shahr Poem by Akhtar Jawad

Karachi Roshnion Ka Shahr

YahiN jeena, yahiN marna, yeh hay dharti ka kinar
Motor cycle hay mere pas tere pas hay car
Petrol to lena hay bhale layeN udhar
Teri khatir hay CNG tu hay aaqa maiN ghulam
Is Karchi ke to hayN bas yehi subh yehi sham.

Load Shading ke andheroN meN hay cellphone china
Mere mahboob jiye jate hayN batoN ke bina
Ek muddat se na soonghi tera hathoN ki hina
K-Electric ki tarah hay tera ek khufia nizam
Is Karchi ke to hayN bas yehi subh yehi sham.

KahiN kachra kahiN machar hay drainage ka ubal
Khal public ki sabhi khenchte leader bakamal
Kahin PP kahiN poN poN yeh traffic ka wabal
Ab to London hay halal aor Karachi hay haram
Is Karchi ke to hayN bas yehi subh yehi sham.

KahiN ulta kahin palta kabhi atka kabhi latka
Hum to duble hue wuh ho geya aundha amatka
Pee ke whiski wuh kara deta hay sabka jhatka
Bura hota hay bure kam ka lekin anjam
Is Karchi ke to hayN bas yehi subh yehi sham.

(Being inspired by a lyric of Majrooh Sultanpuri, Zara hat ke zara bach key eh hay Bombay Meri JaN, from movie CID)

Friday, March 30, 2018
Topic(s) of this poem: fun
COMMENTS OF THE POEM
Dr Dillip K Swain 01 April 2018

KahiN ulta kahin palta kabhi atka kabhi latka Hum to duble hue wuh ho geya aundh amatka Pee ke whiski wuh kara deta hay sabka jhatka Bura hota hay bure kam ka lekin anjam Is Karchi ke to hayN bas yehi subh yehi sham...beautiful expression! Loved reading this beautiful poem!

0 0 Reply
Kumarmani Mahakul 30 March 2018

KahiN ulta kahin palta kabhi atka kabhi latka Hum to duble hue wuh ho geya aundh amatka Pee ke whiski wuh kara deta hay sabka jhatka Bura hota hay bure kam ka lekin anjam Is Karchi ke to hayN bas yehi subh yehi sham.......haunting expression. Beautifully inscribed. Thank u Akhtar sir.

0 0 Reply
Close
Error Success