Kashmakash.. Poem by abhilasha bhatt

Kashmakash..

Rating: 5.0

Kitni kashmakash se bhari hai zindagi
Har raah par har mod par hai to bas
Kashmakash hi kashmakash
Dil main bhi kashmakash
Dimag main bhi kashmakash
Kaun sahi hai
Kaun galat hai
Kaun sa sawaal sahi hai
Kaun sa jawaab behtar hai
Is par bhi to hai kitni kashmakash
Kaun sa waqt behtar hai
Dil ki baatain bayaan krne k lie
Is par bhi bhala kashmakash
Dil ki baat kehne par kis baat ki kashmakash
Haan shayad zabaan tak aane ya na aane k faisle main
Hoti hogi kashmakash
Kyunki koi aisa bhi to nhi ki dil ki baat
Bin kuch soche samjhe kisi se keh sakain
Na hamne kbhi aisa koi dost dhundhne ki koshish ki
Karte bhi kaise
Kashmakash se hi to ghire rahe taa umra
Na kashmakash ne hamara daaman choda
Na ham kabhi kashmakash ka sira pakadne ka mauka chod paaye
Zehen main jo tha wo zabaan tak laayen ya nahi
Is par bhi to kashmakash rahi
Ki kahin kisi bura na lag jaye
Raaton main rona behtar hai
Ya dino k sufaid aanchal main sir dhak kar
Dil ka gubaar aansuon main nikalna
Yahan bhi kashmakash
Kon sa rishta behtar hai
Rogon main behte laal paani ka
Ya dil main behte bina bhandh k kisi nadi se
Pyaar k rishton ka hona behtar hai
In rishton k chunaav main bhi to hai kashmakash
Kaunsa raasta hai
Kaunsi manzil hai
Har safar par yahi to hai kashmakash
Sathi koi door tak zindagi main jo sath de
Wo hain ya jo
Ya char kadam tak chalne wale
Kuch station tak sath safar tey karne wale
Main hamesha inhi sab kashmakash main uljhi rahi
Kashmakash se hi ghiri rahi main har dafaa
Manzaar jo dekhe wo kashmakash main hi dekhe zindagi k
Wafaa hai pyar main
Ya bewafaai ka iraada hai
Ye sare jazbaaton main hai kashmakash
Kushi main hansna hai ya rona
Ghamon main rona hai ya hansna
Rone hansne main hai kyun kashmakash
Meri zabaan main kashmakash
Tere baat k lehje main bhi kashmakash
Apne tootne k dard par rona hai ya nahi
Ya kisi ki muraad puri krne ka zariyaa banne ki khushi ho ya nahi
Apne mazaak banne par ro doon ya hansoon
Ya apne mazaak par kisi k chehre par muskaan ki wajah banne par khush rahoon ya nahi
Joker ko bhi to hoti hai kuch aisi hi kashmakash
Toot te taare ko bhi hai kashmakash
Teri zindagi main bhi hai
Meri zindagi main bhi hai
Kyun hai ye kashmakash
Kaisi hai ye kashmakash
Bin kahe bhi kashmakash
Khamosh reh kar bhi kashmakash
Har pal har lamha har ghadi
Kashmakashon main hai kashmakash..

Friday, January 29, 2016
Topic(s) of this poem: confusion,emotions,life
COMMENTS OF THE POEM
Kanav Justa 02 February 2016

A very mature write, mjhe bi ab ho rhi hai kashmakash ki kaise socha tumne itna: p

0 0 Reply
Souren Mondal 01 February 2016

'Raaton main rona behtar hai Ya dino k sufaid aanchal main sir dhak kar Dil ka gubaar aansuon main nialna Yahan bhi kashmakash' Some of the most poignant lines I have read in any language for a long time! You have my respect Abhilasha.. You are one of the finest poets I have come across in this site. Thank you for sharing... Iss baat me koi kashmakash nahi ke tum ek kaamal ki kavi ho.. Sukhriya, aankhon me thodi naami aa gay isse padhte huye... Sukhriya.

0 0 Reply
M Asim Nehal 30 January 2016

Aur jeena isika naam hai.....Kash-ma-Kash nahi toh kuch bhi nahi, Yet another thought provoking poem. Loved it...10++++

2 0 Reply
Mithilesh Yadav 29 January 2016

surprised ........ u really thought about kasmokash in deep...... again beuty in emotion..... thanx for sharing.....

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success