Koi Keyun Aaye Poem by Akhtar Jawad

Koi Keyun Aaye

Rating: 5.0


Koi keyun aaye mere ghar se jo khushboo aaye,
Jan jate hayn sabhi bhoole se gar too aaye.
Wyse mushkil hay chupane se na chup paye gi,
Keya badi bat hay chupke se agar too aaye
Roshni tum main andheron mein chupaoon kyse,
Han agar sath liye too koi jadoo aaye.
Haye wuh bat jo honton pe kabhi aa na saki,
Aur wuh bat jab aaye tahe abroo aaye.
Aap saughat tabassum ki liye aaye they,
Jane yeh kyse hua aankhon mein aansoo aaye.
Shahrahon ki chamak mein kabhi kho jaoon agar,
Aur ayse mein mujhe yad teri koo aaye.
Wuh to bas ek hay ab aur na ban paye ga,
Man ja itne pe tujhse bhi wuhi boo aaye.

Tuesday, July 5, 2016
Topic(s) of this poem: love
COMMENTS OF THE POEM
Me Poet Yeps Poet 25 August 2016

humm woh roshni hain jisse aapney diya tha bulava jubh humm aye bhuja diya apne thoda sa bachha kuchha diye ka ujjaalaa humm aye theiy narash nahin hone kay liye aap ney bund kardiya apne dill ka darwaza khuda hafiz hai abh humarra

0 0 Reply
Rajnish Manga 24 August 2016

बहुत खूब, अख्तर जवाद साहब. इस खुबसूरत ग़ज़ल सी दूसरी कोई हो नहीं सकती. शुक्रिया, जनाब. आपकी बेमिसाल ग़ज़ल से ही एक शे'र पेश-ए-खिदमत है: कोई क्यों आये मेरे घर से जो खुशबू आए जान जाते हैं सभी भूले से ग़र तू आए

0 0 Reply
Kumarmani Mahakul 06 July 2016

Very amazing poem shared on love topic that really gives amazing thrill on reading. Wise drafting shared.10

1 0 Reply
M Asim Nehal 05 July 2016

Wah wah....Man Ja itne pe tujhse bhi wahi boo aaye......Dil ko khush aur tarotaza karne wali is pyar bhai nazm ke liye hum aapke shukrguzar hain.....10+++++++

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success