Love Sonnet Xi Of Pablo Neruda In Hindi/Urdu Translation Poem by Ravi Kopra

Love Sonnet Xi Of Pablo Neruda In Hindi/Urdu Translation

main bhookha hoon teri awaz ka
teri twacha ka, tere moonh ka
chup chaap, bhookha, ghumta rehta hoon galiyon main
tere halkay pairon ki awaz ki talash main
khanay pani se ab zindagi nahin chalti
subha ki roshni se ab baykali si hai lagti

teri reshmi hansi ko sun-nay main mara ja raha hoon
tere ghion rangi hathon ko cHoonay ko taDpaDa raha hoon
tere safed nakhunoN ko khana chahta hoon
akhrot ki tarah teri twacha ko khana chahta hoon

tere husn se chamakti suraj ki kirnoN ko khana chahta hoon
tera ghamand bhara naak moonh main chubana chahta hoon
teri palkoN ki cHaoN main rehna chahta hoon

sandya k aatay hi teri talash main
teri dil ki jagmagati mohabbat main
ek sher ki tarah chup chaap aa pauncha hoon Quitratue ki gali main

COMMENTS OF THE POEM
Close
Error Success