Lutf -E-Jalwa Poem by M. Asim Nehal

Lutf -E-Jalwa

Rating: 4.8

Kya zindagi lutf-e-jalvaa ban ke reh gayi hai
Jeene ki khawahish kya tamanna ban ke reh gayi hai

Log sab aayina-e-bahaar jaanete hai jise
Wo sabr-o-kanton ka haar ban ke reh gayi hai

Mili thi jo bhi virasat mein khushi
Ab wo mehaz ek armaan ban ke reh gayi hai

Ek wajood mila tha insaan-o-ashraful makhluqat ka
Firouniyat se milkar haiwaniyat ban ke reh gayi hai

"Aashi" ye soch ke mayus na ho jana kabhi ke
Uski manzil bhi ab khawab ban ke reh gayi hai

Thursday, March 31, 2016
Topic(s) of this poem: life
COMMENTS OF THE POEM
Abduhoo Salamath 26 August 2016

Ek wajood mila tha insaan-o-ashraful makhluqat ka Firouniyat se milkar haiwaniyat ban ke reh gayi hai wah bhai waah...kia soch hai.. vaqiyee lajavab hai...

2 0 Reply
Aarzoo Mehek 01 April 2016

Log sab aayina-e-bahaar jaanete hai jise Wo sabr-o-kanton ka haar ban ke reh gayi hai Shayad issi ka naam zindagi hai sabr.o tahammul aur faraghdilli ka naam. khoobsurat ehsaas. dheron daad.o tehseen.10+++ aiina dikhaane ke liye

2 0 Reply
Uzefa Rashida M.a 31 March 2016

Mili thi jo bhi virasat mein khushi Ab wo mehaz ek armaan ban ke reh gayi hai wah wah... kya khoob kaha..aapki ye nazm dil k taaron ku choo gayee.

2 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success