Mazhab Humara Ishq Hay Aashiq Humara Nam Poem by Akhtar Jawad

Mazhab Humara Ishq Hay Aashiq Humara Nam

Rating: 5.0


Jo kuch mujhe mila hay wuhi bantta hoon main,
han bas isi liye to tujhe chahta hoon main.
Dene pe uh tula tha mujhe sharm aa gayee,
main kah nahin saka ke tujhe mangta hoon main.
Dil mein liye main dil ki bhatakta hoon aaj tak,
Yeh auor bat usko sada takta hoon main.
Jiska na koi ore hay na chore hay koi,
paimano mein usi ko magar napta hoon main.
Shayed kabhi kahin pe mera yar bhi mile,
khidki khuli mili jo kahin jhankta hoon main.
Tum maslakon mein uljhe raho main sulajh chuka,
dhoondho na mujhko kabse kahin lapata hoon main.
Mazhab humara ishq hay aashiq hamara nam,
aiy kash wuh kahe ke tujhe janta hoon main.

Friday, January 29, 2016
Topic(s) of this poem: love and life
COMMENTS OF THE POEM
Abhilasha Bhatt 29 January 2016

Dil mein liye main dil ki bhatakta hoon aaj tak, Yeh auor bat usko sada takta hoon main.... A very beautiful poem....loved it....thank you for sharing sir.... :) Main jaane par jiske rota raha Uske intzaar main raah takta raha Wo kl mila to anjaan banke niklgya Kya wo Nhi jaanta mujhe Main sochta raha...

0 0 Reply
Khalida Bano Ali 29 January 2016

Khoobsoorat sufiana kalam. Bahut khoob.

0 0 Reply
Aarzoo Mehek 29 January 2016

Waahhhhh subhanAllaah, mohobbat se labrez ghazal, Dene pe tu tula tha mujhe sharm aa gayee, main kah nahin saka ke tujhe mangta hoon main. Har dard.e dil ki pukaar, `ya Rab main tujhse tujhi ko mangti hun main Mazhab humara ishq hay aashiq hamara nam, aiy kash wuh kahe ke tujhe janta hoon main. marhaba wo kyon na itraaiga apne bando ke ishq par, wo dilon ka bhed jaanta hai... khoobsurat kalaam dheron daad.o tehseen qubool farmaai.

1 0 Reply
Close
Error Success