Pardahnasheen Poem by Akhtar Jawad

Pardahnasheen

Rating: 5.0

Aiy husn tera yeh roop bhala meri nazron se chup sakta hay,
Yeh subh ka tara fajr ke waqt tere kachey chithe likhta hay,
Teri mang ki surkhi shafaq banker jab neel gagan pe bikharti hay,
Yeh jo thandi hawaein chalti hayn wuhi tara aahein bharta hay,
Yeh jo natkhat shokh hawaein hayn chupke se kali ko chooti hayn,
Jab lali shafaq ki lut jaye phir phool chaman mein khilta hay.
Jab phool ke nazuk honton pe shabnam ke qatre jamte hayn,
Teri rat kaheen bhi guzri ho tera raz yehin per khulta hay.
Peshani pe qatre paseene key yeh khauf nahin hay nadamat hay,
Ye jo ghaiz-o-ghazab hay suraj ka tera zohr isi mein jhalakta hay,
Main ishq se tere wazoo kar ke tere ghar mein jakar kah doon ga,
Tere ghusse ki tah mein peyar hay jo aashiq ki nazar se dikhta hay,
Koi keya jane tere qadmon ke kitne bose le leta hoon,
Koi keya jane kis peyar se tu mere sar per hath ko rakhta hay,
Peshani ponch ke aanchal se mujhe qadmon mein soya pa kar tu,
Dheere se utha kar sar ko mere pathar ke farsh pe rakhta hay.
Yeh beeti ghadian kahti hayn is peyar mein ghata hi ghata hay,
Yeh bat to dil hi janta hay wuh loot ke kyse lutta hay,
Qasam hay asre hazir ki jahan peyar bhi ek beopar bana,
Mere liye itna kafi hay wuh mujhse muhabbat karta hay,
Ab sham jo hone wali hay is sham mein usse poochun ga,
Main to chup kar rota hoon tu keyunchup kar hansta hay.
Koi aysa roop bana ke dikha jise mere siwa na dekhe koi,
Tu badal banke garajta hay tu bijli ban ke chamakta hay.
Lo ghiz-o-ghazab bhi ghuroob hua phir lali shafaq ki chane lagi,
Wuh mashriq ho ya maghrib ho wuh sabko choomta rahta hay,
Kal mujhpe fida aaj uspe fida main samjha tha bas wuh mera hay,
Main kyse kahoon tu mere siwa kis kis se muhabbat karta hay,
Mujhko hay yaqueen phir aaye ga seene se mujhko lagaye ga,
Harjai to sabko chahta hay han waqt badalta rahta hay,
Taron ki mala mein chand jara zara neeche aakar choo mujhko,
Ek rat gale ka har to ban bus door se takta rahta hay,
Rat ke pardon mein chupkar yeh kisne zulfien bakheri hayn,
Dil mera isha-e-moattar se na jagta hay na sota hay,
Lo akhir neend bhi aa hi gayee wuh mere pas na aaye ga,
Awaz to aaye thi koi kab neend mein koi sunta hay,
Subh ko aaine mein mujhe peshani pe dhabba dhabba laga,
Yeh daghe muhabbat hay shayed jo dheere dheere milta hay.Like

Thursday, June 16, 2016
Topic(s) of this poem: love
COMMENTS OF THE POEM
Khalid Saifullah 18 December 2017

Kalame Soofiana, bahut khoobsoorat hay.

0 0 Reply
M Asim Nehal 25 June 2016

Masha-Allah bahut pyari ghazal hai...Dheron daad...Janab Ramzam Mubarak....

1 0 Reply
Khalida Bano Ali 16 June 2016

Khoobsoorat sufiana kalam, , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , ,

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success