Rishtey Aur Cheezain.. Poem by abhilasha bhatt

Rishtey Aur Cheezain..

Rating: 5.0


Rishtey aur cheezain
Cheezain jo sanjo kar rakhi jayain
To ghar kitna saja sa lgta hai
Sanwara sa lgta hai
Koi wajh na bhi ho khushi ki
Magar mann kuch mehka hua sa
Bhojh dil utra sa
Sadgi se bhara mehsoos krta hai
Aisi cheezon ko ate jaate niharkar
Apne aap main gupchup hansne ka mann krta hai
Un cheezon ko jo sanwaare hai ghar ko
Alag alag dishaon se ham takte hain
Mano aisa krne se kuch aur naya usmain
Kuch aur maayanon k sath nazar aayega
Har bar har tarah se kitna sahej kar rakha jaye
Isi dhun main rehte hain
Magar
Kabhi kisi thokar se
Galti se kabhi hath lage
Anjaane main
Jab yahi cheezain toot jayen to
Aisa lgta hai mano dil k kisi hisse main
Koi kaccha hara kaanta chubha ho
Jo shareer k hilne par ek andar tak dard pahuchane wali chuban dejaati hai
Wo jagah jahan use sanjo kar rakha tha
Kitni khaali nazar aati hai
Nazar bhi kya bahut buri tarah mehsoos hoti hai
Mano wo hissa shunya k barabar ho
Us soone hisse ko kaat kar faink dene ka mann krta hai
Wo cheez Jo zindagi ka bin lage pata
Ek hissa ahem ban gai thi
Uska tootna andar tak tod jaata hai
Aur uske tukde dil ko kaise cheere jaate hain

Rishton ka bhi to bas ekdum yahi aalam hai
Bante hain
Banaate hain
Sanjo kar rakhte hain
Kitni shiddat se pyar se use sajaaye rakhte hain
Khud main jaan kam bhi ho
Magar rishton main jaan ki
Koi kami kahan rehne dete hain
Pyar se kitne
Kitni shiddat se seenchte hain
Har mumkin koshish hoti hai
Inhe pyar k aanchal main
Pyar se rakhne ki
Mukammal koshish karte hain
Waise bhi
Ham koshish hi kar sakte hain
Aur umeed hi kar sakte hain
Zindagi se bin maange mile
Ye zindagi k hame die
Do hi to beshkimti anmol tohfe hain
Rishton k tootne par
Kitni chot lagti hai
Duaaon main guzar jaate hain
Ki ye rishtey jud jaayen
Zindagi kitni kadwi ho jaati hai
Mano kadwi ka ped ho
Kahin se mithas ane ka
Kahan koi matlab nazar aata hai
Sab zaar zaar lagta hai
Sab bezar lgta hai
Udhad jayain jab rishtey
To pyar ki silaai to unhe see deti hai
Magar taanke saaf saaf nazar aate hain
Pehle jaisi khushboo phir kahan kbhi aapati hain
Toote hue rishtey judaye bhi jaayen
Tinka tinka katra katra jod kar
Jab jode jaatain hain
Jud bhi jayen agar itni jaddojehed se
To dararon ki chap choot hi jaati hai
Rishtey aur cheezain
Har maayane main to khai nhi
Magar kain maamlon main ek se hi dikhai dete hain

Wednesday, February 10, 2016
Topic(s) of this poem: life,relationships
COMMENTS OF THE POEM
Sonali Ganguly 12 April 2019

heart touching lines.. beautiful, expressive and thought provoking

0 0 Reply
Souren Mondal 10 February 2016

'Toote hue rishtey judaye bhi jaayen Tinka tinka katra katra jod kar Jab jode jaatain hain Jud bhi jayen agar itni jaddojehed se To dararon ki chap choot hi jaati hai Rishtey aur cheezain Har maayane main to khai nhi Magar kain maamlon main ek se hi dikhai dete hain' Wow! ! Abhilasaha, ye shaayad tumhari saab se behtareen kavita hai.. Rishton aur chizon ke beech ki faslon ko dur kar ke tum ne unme ek alag sa hi jaan daal diyi.. Bohoot, bohoot, khoobsyuraat kavita hai ye.. Sukhriya...

0 0 Reply
Mithilesh Yadav 10 February 2016

Mujhey ye kya samjha Tunney bas ek khilona.... Mein mitti ka putla tu kharish sona.., .... Mere dil ki dhadkan tere chudiyon ki khan khan..... Tera khilkhila key hasna meri ankhon ka Rona.... Grttt penned mam ji

0 0 Reply
Aarzoo Mehek 10 February 2016

Cheezein aur rishte jab tooTtein hai to wohi taqleef hoti hai.. Humesha humein inke khone ka dar laga rehta hai. khoobsurat kavita.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success