meri baansuri k dukhi geet zara to suno -
kaisay dhakkay kha kar main jannat se yahaaN aaya
us lehmay se main tere liyay
aansoo bahaata aa raha hoon
log dilaasa dene mere paas aatay hain
rotay dekhtay khud ro paDtay hain
mere dil k tukDay hazaar hue hain
tootay dil waalay hi mera dard jaantay hain
jaantay hain kitna main tumaiN chahta hoon
kitna pyaar main tumaiN karta hoon