Still Life On A Matchbox Lid, Translated Into Hindi/Urdu Poem by Ravi Kopra

Still Life On A Matchbox Lid, Translated Into Hindi/Urdu

Shanti maatchas ki dibbiya par


Dil main aankhon se zyada shanti hoti hai
rishi maha rishi jinoN ne sansaar dekha hai

Ye acHi tarah jaante hain
k aasani se kabhi bhi hum bulandi pe nahin ja sakte hain -
zara socho, kuttay ka ek baal hawaa ko kaat sakta hai

Agar tumhain shanti chahiye
to aaram se ye nahin milegi
khoob kaam karna paDega is ko paane k liye.

Bhool jao bhoot kaal ko
sansaar fizool ki cheezain apne saath rakhe nahin rehta hai
na to inka koi naam hai, na hi in main koi paigam hai

This is a translation of the poem Still Life On A Matchbox Lid by Charles Wright
Wednesday, March 21, 2018
Topic(s) of this poem: hardship,peaceful,work
COMMENTS OF THE POEM
Close
Error Success