Dard dekar poochte ho ki dard kya hai
Dil tod kar batate ho ki dawa kya hai
Ye ada bhi kya khoob hai teri
Saza dekar poochte ho ki kaza kya hai
Muft me mar gaye kai log yahan
Is shehar mein ye kashish kya hai
Koi matloob nahi na koi mushtaq hai yahan
Ye sadma-e-barzakh ka bharam kya hai
Manzilen fateh ho gayi kab ki
Maqsad-e-fikr mein masale kya hai
Kyun na khud hi ko buland kar loon
In pahadon ki unchai mein rakha kya hai
Jhonka bhi hawa ka tanhai mein khalal karta hai
Teri yaadon se bandh doonga jo inhe
Tab pata chalega ke tanhai kya hai.
Very amazing sharing done really with interesting idea that speaks about selfless duty where memories are tied in love. Fantastic.10
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem
Jhonka bhi hawa ka tanhai mein khalal karta hai Teri yaadon se bandh doonga jo inhe Tab pata chalega ke tanhai kya hai. Ek Khoobsoorat Nazm, kheyalat se musajjah aur alfaz se murassah.