A Voice From The Dungeon, Tears Of Sadness Of Anne Bronte In Hindi/Urdu Poem by Ravi Kopra

A Voice From The Dungeon, Tears Of Sadness Of Anne Bronte In Hindi/Urdu

Mera dafan ho chuka hai
main ne zindgi se ab koi lena dena nahin hai
sab nafrat, badlay, dukh dekh liye hain
khusiaN, umeedaiN, mohabbataiN dekh li hain
jo meray oopar chal rehi hai duniya ki halchal
main ne usko bhi sab dekh liya hai
is vilap bhari dukhi aur nirash jagah main
main arsay se reh rehi hoon
mujhe sab log bhool chuke hain
main ek akaant aur dukh bharay zamin k andar kaid khanay main hoon
ye meri kabar ab bun jaani chahiye

-to be continued

This is a translation of the poem A Voice From The Dungeon by Anne Brontë
Friday, March 30, 2018
Topic(s) of this poem: despair,hopelessness,sadness
COMMENTS OF THE POEM
Close
Error Success