Ah, There You Are! A New Hindi Version Of An Indian English Poem By Kumarmani Mahakul Poem by Ravi Kopra

Ah, There You Are! A New Hindi Version Of An Indian English Poem By Kumarmani Mahakul

hamaiN hairaani hoti hai
hey bhagwaan, jai seeta raam
tum ne kaisa sundar sansaar banaaya
sirf saat din main
matlab 168 ghanton main
matlab 10080 minutes main
matlab 604800 seconds main

sab kaalapun tha har jagah
tum ne kaha: roshan ho jaao
doosray pal aa gaya sooraj akaash main
sub kaalay pan ko bhagaata hua

fir tum ne kaha: pahaD bun jaaeN
dariya bun jaaeN
doosray pal pahaD bun gaye hindustan main
jerusalem main, cheen main, pakistan main
aur behnay lagay dariya ganga, ravi, chanab, sutlej bharat main
yangzi and the river of sorrow in cheen main
mississippi aur colorado river amreeka main

aur jidhar dekho duniya main pahaD k pahaD bun gaye
dariya k dariya bun gaye, baarish honay lagi
toofaan aaney lagay, tsunamis aanay lageeN
sardi, garmi, pathchad, barssat k mausum aanay lagay

macHlian aaeN, gaaey, bhains, ghoDay aaye, oont aaye
bandar, chukandar, seeta phal, aam seb, angoor aaye
hawaa bani, aag bani, peDon ke neechay cHaanv padi
aadmi aur aurat lag gaye saath saath pyaar main
bana deeyay unoN no betay, betiaN, potay, paD potay paD putriaN
jahaan bana, kitna pristine, surprising beauty se bana

lakin sub ko tab tak na patta tha kaisay ye bhagwaan ne kaam kiya
jab tak bible na likhi gayi, jab tak rishi-mushi na aaey, jesus na aaya
aur na hi aayey khuda k paigambhar, raaz jinoN ne sub khol diya

badkismati ki baDi ye baat hai log ye sub kuch bhool gaey
lakin jab poemhunter pe bharat k mahan kavi apni tashreef laaey
sub ki aankhain khul gayeeN jab unoN ne bhagwaan k geet gaaey
aur kuch aisa likhnay lagay:

We are surprised about pristine beauty and
The sound cuckoo produces at early dawn,

[.......]

You are the great, you are the great,
Oh dear God, without you we cannot live.

[........]

Ah, there you are, here you are too,
You come to teach us with great wisdom,

[.........]

You support all from both sides
Ah, there you are to care for us!


[.........]

At each moment we try to touch your wave
Ah, you are there and you are watching us,


O, O, Ah, Ah
Ha, Ha, Wah, Wah...Na?

This is a translation of the poem Ah, There You Are by Kumarmani Mahakul
Wednesday, April 10, 2019
Topic(s) of this poem: god,morning,nature,philosophical ,spiritual
COMMENTS OF THE POEM
Close
Error Success