Chand Raat Poem by Akhtar Jawad

Chand Raat

Rating: 5.0

Ghadi do ghadi ko milo to sahi sare shikwe gile door kar dein ge hum,
Wuh aankhein jo ro ro ke ab thak chuki hayn unhein aaj majboor kar dein ge hum,
Wuh hansne lagein gi wuh gane lagein gi wuh mazi mein phir laut jane lagein gi,
Wuh jhuk kar uthein gi wuh uth kar jhukein gi unhein aaj masroor kar dein ge hum,
Duaein to hum ne khule aam ki hayn sharabein magar chup ke kutch kasht ki hayn,
Yeh dil kabkaa labrez ho hi chukka hay ab aankhon ko makhmoor kar dein ge hum,
Zara apne kamre ka dar band kar ke tum aaeney mein khud ko dekho to janan,
Tum ab bhi haseen ho tum ab bhi jawan ho tumhein aaj bharpoor kar dein ge hum,
Muhabbat mein keya khauf ruswaion ka yehi do dilon ki to poonji bachi hay,
Giraftar shayer ki chahat mein ho gar tumhein aaj mashhoor kar dein ge hum.
Hay aaeene ulfat azal se yehi yeh peere kuhan abbhi badla nahin,
Nai rooh phoonkein hum donon milkar, ise aaj dastoor kar dein ge hum.
Hilal idd ka ho Mubarak tumhein abhi se to mehndi lagaa ker na baitho,
Zara mere hathon mein yeh hath de do inhein aaj purnoor kar dein ge hum.

Tuesday, July 5, 2016
Topic(s) of this poem: happy
COMMENTS OF THE POEM
Ajay Kumar Adarsh 22 August 2016

waise to is gazal ki har line bemisal hai... fir bhi ankho ke liye jo aapne likha hai Wuh jhuk kar uthein gi wuh uth kar jhukein gi unhein aaj masroor kar dein ge hum, bahut hi lajawab laga....Sir! thanks a lot to sharing with us.

0 0 Reply
M Asim Nehal 08 July 2016

Wah wah..ye mulaqat shikwe gile mitane ke liye kafi hai.....Lekin padh kar aapki nazm dil kehta hai aur abhi baqi hai.......What a wonderful poem, Janab, EID MUBARAK TO YOU AND YOUR ENTIRE FAMILY...

0 0 Reply
Kumarmani Mahakul 06 July 2016

Moment to moment happiness comes on meeting you in love and this lasts in emotion and expression wonderfully. Very wise and nice drafting is shared.10

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success