Ek Ghazal.. Poem by abhilasha bhatt

Ek Ghazal..

Rating: 5.0


Khwab wo Jo dil ne dekhe they use ham chod aye hain
Ki jisse pyar hamne kia tha use ham chod aaye hain

Wo rasme wo kasme wo waade wo phere jinse bandhe they unhe ham tod aaye hain

Sabhi galiyan sabhi raahain jahan se pyar hamara guzra tha kbhi
Us pyar ko us raah ko us chahat ko ham dil se bhool aaye hain

Taqdeer k likkhe se ham bagaawat kar aaye hain
Sare rishtey naate sari uljhan sare bandhan tod kar aaye hain

Kbhi mumkin tha kehna jo aur keh naa paye
Us baat ko jazbaat ko ham bayaan karke aaye hain

Tamanna jo kbhi dil ki thi aur mukammal ho na paai
Us tamanna ko mehrbaan se ham judaa ho aaye hain

Ghame hasti ka asad ham bandh aaye hain

Hosh dil k kie they kbhi jisne hamare gum
Us shakhs ko us pyar ko raqeeb apna bana aaye hain

Mutmayeen they jis bat se us bat se aye mere hamdam
Us baat ko ham peeche kahin dhakel aaye hain

Thursday, February 25, 2016
Topic(s) of this poem: goodbye,love and life
COMMENTS OF THE POEM
Mithilesh Yadav 25 February 2016

emotion princess............ bhauth khoobh

0 0 Reply
Bharati Nayak 25 November 2016

A lovely write, full of emotions. You carry the impressions of the people or the things you think you left behind.

0 0 Reply
Akhtar Jawad 15 March 2016

Ek khoobsoorat ghazal, nahut achi lagi.

0 0 Reply
Aarzoo Mehek 11 March 2016

That's the spirit girl.... new beginning with new hopes and dreams...beautiful kalaam...tons o flove n duaz.10+++

1 0 Reply
M Asim Nehal 27 February 2016

New beginning ek josh ke saath..Kya baat hai, , , Chodo kal ki baatein, kal ki baat purani... Har ek sher kabile-daad hai....Kya baat hai Abhi.10++++

1 0 Reply
Souren Mondal 26 February 2016

Wonderful! ! ! That is all I can say Abhilasha.. You have my respect as a poet and an artist..

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success