Finally He Did Kiss His Sweetheart, A Poem In Urdu/Hindi Poem by Ravi Kopra

Finally He Did Kiss His Sweetheart, A Poem In Urdu/Hindi



us ne apni begum ko
rung barangi kapDay khreed diyay
kushboo k ark lay diyay
murg masalam k khanay khila diyay
naach us k liyay kar diyay

magar kuch safalta na paee
us ki beevi bilkul na muskaaee
raat ko bistray main na aaee

miaaN akhtar ne socha
haaey rabba, kyaa ho gaya mere bhaaee
kyon uski beeve ko aisi naraazgi aaee? !

miaN maulana akhtar preshaani main
jaa paunchay fir ek bageechay main
jahan dekhi us ne ek titli
phooloN ko choomti hui

ek dum khayaal aagaya maulana k zehn main
bhaagay bhaagay aaya vo apne ghar main
baazoo usne hilaaey titili ki tarah hawaa main
bina kuch bolay jaa pakDa us ne apni begum ko baahoN main
aur hazaaroN chumiaaN marnay laga us k gaaloN, us k labbON pe

hee hee kartay vo hansnay lagi, hee kartay vo hansnay laga
fir vo kehnay laga: haaey rabba, patta hota ye muj ko agar pehlay
to choosta rehta main apni beevi ko har din dhaahaaDay.

- -

I tried to redesign my soul with colors,
but I failed.
I tried to redesign my soul with perfumes,
but I failed.
I tried to redesign my soul with delicacy,
but I failed.,
I tried to redesign my soul with a dance,
but I failed.
Frustrated I went to a garden of smiles,
there I saw a butterfly kissing a flower,
I came back, hugged and kissed my sweetheart.
My job was so easy I never thought!

- Akhtar Jawad

Sunday, July 19, 2020
Topic(s) of this poem: kiss
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success