Hosh Me Na Aaye To Lut Jaaoge Sun Lo Poem by Aftab Alam

Hosh Me Na Aaye To Lut Jaaoge Sun Lo

Rating: 5.0


Waqt ne hanthon me khanjar thamaa diyaa,
Insaan ko bhi isne kaise haiwaan bana diyaa,
Aag lagaaye phir yun lagaate challe gaye
Itni lsgaayee aag ki khud ko jalaa liyaa

Waqt ke hathon ne hame bauna banaa diyaa,
Aadmi the pahle, kaise khilaunaa banaa diyaa,
Bekhauf parinde ki parwaaz dekhiye,
Beshrm aankhon ki ab andaaz dekhiye

Waqt se aage nikalne ki hod me,
Waqt ko hi hamne qamina banaa diyaa
Badalte gaye khud ko khushi ki talaash me,
Badal gayaa hai waqt bahaanaa banaa diyaa,

Waqt ke hanthon me khanjar hamne hi to dee,
Waqt ne ab mujh par hi khanjar chalaa diyaa
Begunaahi ki geet gaate ho to gaao be jhijhak,
Waqt ne hamen hi aayeenaa dikhaa diyaa

Hosh me na aaye to lut jaaoge sun lo,
Chalnaa hai kis raah abhi waqt hai chun lo


©2014 Aftab Alam Khursheed. All rights reserved

Wednesday, October 29, 2014
Topic(s) of this poem: peace
COMMENTS OF THE POEM
Akhtar Jawad 30 October 2014

Yeh Ishq nahin asan itna hi samajh leejiye- - Ek aag ka darya hay aur tair ke jana hay.. (Jigar Muradabadi)

0 0 Reply
Neela Nath Das 29 October 2014

Amazing lines- - - Hosh me na aaye to lut jaaoge sun lo, Chalnaa hai kis raah abhi waqt hai chun lo..

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success