Jab Hijr Mein Poem by M. Asim Nehal

Jab Hijr Mein

Rating: 5.0

Jab hijr mein kabhi had se guzar jaao tum
Aur deedar ki tamanna ho jaye
hum chand banke aa jaayenge
Is raat mein rehne tere sang

Jab mushkilon mein ghir jaao
Ek baar hamein tum keh dena
Her zakhm ko hum yun see denge
Tum chak jigar ko dhundoge

Tadap jaaye gar dil ke armaan
Milne ki khawahish ho jaye
Tum aankhen bandh kar lene zara
Mushkil ye aasan ho jaye

Pankh bina hi ud jaao
Ye taqat bhi hum de sakte hain
Soch hamari lena tum
Jab maujon mein rawani aa jaye.

Waqt mein wo taqat hai
Ki har zakhm bhar deta hai
Jab waqt ko katna mushkil ho
Tum mere khayalon mein aa jaana

This is a translation of the poem When You Are Far…. by M. Asim Nehal
Friday, January 29, 2016
Topic(s) of this poem: life,love and friendship,separation
COMMENTS OF THE POEM
T Rajan Evol 02 February 2016

Pankh bina hi ud jaao Ye taqat bhi hum de sakte hain Soch hamari lena tum Jab maujon mein rawani aa jaye

1 0 Reply
Abhilasha Bhatt 29 January 2016

Waqt mein wo taqat hai Ki har zakhm bhar deta hai Jab waqt ko katna mushkil ho Tum mere khayalon mein aa jaana.... Beautiful poem.....thank you for sharing :) Ye khayal hi hain tere Jo zinda kie hain abtk hame Warna tera hame chod jaana Ek wajah kaafi tha Marjaane k lie..

1 0 Reply
Aarzoo Mehek 29 January 2016

Jab mushkilon mein ghir jaao Ek baar hamein tum keh dena Her zakhm ko hum yun see denge Tum chak jigar ko dhundoge Love heal all wounds...Beautifullllll to the core. Waqt mein wo taqat hai Ki har zakhm bhar deta hai Jab waqt ko katna mushkil ho Tum mere khayalon mein aa jaana Mohobbat ki shiddat se jab dil tarapta hai to milne ke raaste khud bakhud ban jaate hai... khoobsurat nazm...parhne waala iske ehsaas main gum ho jaata hai.10++++ kam lagta hai. dheron daad.

2 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success