Khaali Zameen (The Vacant Lot) Poem by Ravi Kopra

Khaali Zameen (The Vacant Lot)

motarma coley ka eent ka makaan
ab yahan nahin hai
ye toDa gaya tha
jab vo apna mota sa shreer
zameen k andar k dawazay se
apne safed chokaney daatoN waale jawaaee ke saath
bahr nikla karti thee
(uska gaddi par asli hak tha)
uski aankhen pathar jaisi cHoti si theen
aur jab vo kisi din ghar pe na hota tha
uski moti se bewee admioN ko
apne ghar andar bula liya karti thee
aur fir ghar se bahar nikal diya karti thee

This is a translation of the poem The Vacant Lot by Gwendolyn Brooks
Wednesday, August 22, 2018
Topic(s) of this poem: business,money,sex
COMMENTS OF THE POEM
Close
Error Success