Monsoon In Rampura Mohilla, Delhi, A Poem In Hindi/Urdu Poem by Ravi Kopra

Monsoon In Rampura Mohilla, Delhi, A Poem In Hindi/Urdu



Delhi ka Rampura mohilla
July main do din se lagataar barsaat
log darwaazay bund kar ke
tv dekh rahey hain, chai pee rahay hain
gup shup maartay pakoDay khaa rehey hain

sub taraf sun-saan
sirf barsaat ki tapak tapak
aur aasmaan main bijli ki khaDak

gali main bhaaD chal raha hai
paani seeDion tak aa chuka ha
logoN ki tatti-peshaab se bhra hua hai
maiNdak tar rahain hain

jab barsaat nahin aati
log dua maangtay hain:
rabba rabba pani de.
jab lag paDti hai
to log kehtay hain:
hey Allah, kab bund hogi ye barsaat

kush na rehna
kyaa aadmi ki zaat hai?

Monday, September 2, 2019
Topic(s) of this poem: rains
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success