Rose, Gulabi Phool By Arzoo Mehak In Urdu/Hindi Translation Poem by Ravi Kopra

Rose, Gulabi Phool By Arzoo Mehak In Urdu/Hindi Translation

Rating: 5.0


Main ek safed gulab ka phool hoon
shud hoon, masoom hoon
mujhe toD k na rakh ek lehmay k mazay k liyay
na hi daba k rakh kitaboN k warkoN main
juDay juDay jo paDi hain tere takhtoN pe
aur na hi mujhe rakh apne khazaanay ki sandookoN main
Nikal de mujhe apni siD, apni khawahsoN se
dolnay de mujhe sur ki hawaaoN main
mohabbat ki garma garmi main mujhe rehnay de
guzaratay lehmoN main mujhe jeena rehnay de
azzadi k mazay mujhe chukhnay de.

This is a translation of the poem A Rose by Aarzoo Mehek
Monday, December 3, 2018
Topic(s) of this poem: love and life
COMMENTS OF THE POEM
Varsha M 09 June 2021

Beautiful ma'am. Nice see safed gulab aapke aanganoon me khilkhilate aur haste hue.

0 0 Reply
Close
Error Success