Ruswa Hone Se Pehle Poem by M. Asim Nehal

Ruswa Hone Se Pehle

Rating: 5.0

Sagar ko ghaghar mein bhar liya
Humne bhi ye kamaal kar liya
Tere sang rehte rehte
Humne bhi jeena seekh liya

Khoye khoye rehte the hum
Ab jaag gaye hain
Need khul gayi ab
Din nikalne laga hai

Dhundhle chehre ab samne hain
Parchayee ka shaksh kuch kareeb
Dekh rahe hain ab unhe hum
Kaarname jo reh gaye andhere mein

Ruswa hone se pehle
Dil dhal jaye to achcha hai
Raat ki siyahi mein
Ansoo beh jaye to achcha hai.

Thursday, January 14, 2016
Topic(s) of this poem: life,relationship
COMMENTS OF THE POEM
Akhtar Jawad 20 February 2016

Bat to such hay magar bat hay ruswai ki- -(Parveen Shakir) A nice poem.

1 0 Reply
T Rajan Evol 14 January 2016

Superb, badiya....10

1 0 Reply
Kumarmani Mahakul 14 January 2016

The day has started giggling with opening of new sky and rising of new sun. Very amazing poem shared with reality.10

1 0 Reply
Darren Jkoeryo 27 July 2016

I may get some clue from the comments.

0 0
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success