Ye Zindagi ..... And This Life Poem by M. Asim Nehal

Ye Zindagi ..... And This Life

Rating: 5.0

Haath bandh kar kya kya dikhlati hai zindagi
Majboor dekh kar bada itrati hai zindagi

Ye jaan liya hai tune bhi abhi
Taqdeer ke haath khilona hain hum sabhi

Warna kyun is kadr jhoola hamein jhulati hai
Khud nachti hai aur tamasha hamein dikhati hai

Kehte hain log ki hum jee rahe hain zindagi
Lekin tu jaanti hai tabhi to maut ke kareeb le jaa rahi hai zindagi

Waqt ke haath hum se kasrat karwati hai zindagi
Badnaam isko kar ke phisal jaati hai zindagi

Afsos hai ki itna bhi nahi batati hai ye zindagi
Le jakar humko kahan sulati hai ye zindagi.

Saturday, February 27, 2016
Topic(s) of this poem: life,life and death
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
हाथ बांध कर क्या क्या दिखलाती है ज़िन्दगी
मजबूर देख कर बड़ा इतराती है ज़िन्दगी

ये जान लिया है तूने भी अभी
तक़दीर के हाथ खिलौना हैं हम सभी

वरना क्यों इस कदर झूला हमें झूलती
खुद नाचती है और तमाशा हमें दिखती

कहते हैं लोग की हम जी रहे हैं ज़िन्दगी
लेकिन तू जानती है तभी तो मौत के करीब ले जा रही है ज़िन्दगी

वक़्त के हाथ हम से कसरत करवाती है ज़िन्दगी
बदनाम इसको कर के फिसल जाती है ज़िन्दगी

अफ़सोस है की इतना भी नहीं बताती है ये ज़िन्दगी
ले जाकर हमको कहाँ सुलाती है ये ज़िन्दगी.
COMMENTS OF THE POEM
T Rajan Evol 07 December 2016

Kya baat hai अफ़सोस है की इतना भी नहीं बताती है ये ज़िन्दगी ले जाकर हमको कहाँ सुलाती है ये ज़िन्दगी.

0 0 Reply
Abhilasha Bhatt 29 February 2016

Kbhi hansti kbhi gaati Kbhi roti kbhi rulaati Panna dar panna hai nai Kahin purani hoti kbhi nai banti Ye zindagi.........Beautiful......loved it.....thank you for sharing :)

1 0 Reply
Aarzoo Mehek 29 February 2016

Afsos hai ki itna bhi nahi batati hai ye zindagi Le jakar humko kahan sulati hai ye zindagi. Zindai ka karwa sach... na hum apni marzi se aate hai na apni marzi se jee paate hai na hi mout par humara zor hai. Waqiye kya kya khel khilaati hai ye zindagi. bohot khoobsurat ghazal. dhero daad.o tehseen.10+++

1 0 Reply
Souren Mondal 27 February 2016

'Waqt ke haath hum se kasrat karwati hai zindagi Badnaam isko kar ke phisal jaati hai zindagi' Boohut hi umdaa ghazal hai Asim.. Dil ko chu gaayi.. Zindigi sachme kaise kaise khel dikhati hai, kisi ko nahi pata.. Sukhriya.

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success