Ek Nazm! Poem by Shahzia Batool

Ek Nazm!

Rating: 2.8


Yeh Bata shoes pehne hen
Yeh pony-tails bandhi hen
Abhi khanay ki table per
Jo yeh dice banaya he
Tumhe bus yeh sunana he
Me ik azaad chirya hun
Mujhe tum chehchahanay do
Mujhe ab chup nhi rehna
Magar yeh kehte rehna he
Me khul k le sakun jin ko
Meri apni bhi saansen hen
Meri apni bhi neenden hen
Jo azaadi ka jazba he
Kabhi wo mar nhi sakta
Qafas qaidi k sapnon ko
Kabhi sir kr nhi sakta
Mujhe ab chup nhi hona
Yeh tum se kehte rehna he
Mujhe azaad rehne do
Mujhe azaad rehna he

POET'S NOTES ABOUT THE POEM
a girl's voice from childhood to maturity!
COMMENTS OF THE POEM
Kavita Singh 29 August 2016

mujhe un panchhiyon ki tarah gagan me udne do...Mujhe azaad rehne do.beautiful poem

0 0 Reply
M Asim Nehal 30 September 2015

Kya khoob.....On freedom, a lovely nazm.

1 0 Reply
Tirupathi Chandrupatla 29 July 2013

I am a free bird. Let me remain free. Nice message given through the poem. Thank you.

1 0 Reply
Ramesh Rai 28 July 2013

uparwale ne sabhi ko azaad hi paida kiya hai. lekin hum hain zo apni swarth k liye sabkuchh bandhak bana diya. bahut khoob likha hai aapne

1 0 Reply
Geetha Jayakumar 28 July 2013

Mujhe azaad rehne do...Wonderful write...Beautiful poem with good message.

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success