Tanha tanha shamon mein phirna chupke chupke raton mein rona,
Jane wale wapas na aaye kabhi phir kis liye apne jee ko khona,
Tum jisko shafaq samjhe ho yaro khoon hay mere armanon ka,
Doob rahi sagar mein dekho peyar ki chandi yar ka sona,
Apna andhera main laya tha phail geya akash pe dekho,
Tare ban gaye mere aansoo bhar geya dekho kona kona,
Jispe likha hay nam tumhara jispe likha hay nam hamara,
Usi darakht ki chaon mein sar ko kalai pe rakh kar sona,
Keyun dekhe wuh khawab kabhi jo poore nahin ho sakte they,
Band aankhon mein bikhre sapne, sona bhi bas nam ka sona,
Kahan gaye wuh kandhe tumhare jisper sar rakh kar roye hum,
Maine kaha is aanchal ko armanon ke bahte khoon se dhona,
Tumne kaha majboor hoon main mujhko bhula do tum sajna,
maine kaha khamosh raho aage kutch ab aur kaho na.
Bht achi gazal hy narm narm lehjy me. Sudarshan faakir ka ek sher dekhen.. Dunia jisy kehty hn, jadu ka khilona hy mil jaey To mitti hy, kho jaey to sona hy .. ap ki ghazal parh kr acha laga
'Brilliant expression. Beautiful ghazel. Thanks for sharing.- - - 10
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem
Dil ko choo janewali ek khoobsoorat nazm.